Sunday, 22 January 2017

MALAI KOFTA

SAMAGREE --

Paneer-250 g
Boiled potato - 2-3
Namak-- swad k anusaar
Ararot - 2-3 spoon
Kaju & kishmish - kuch tukde filling k liye
Oil- talne k liye

GRAVY

Tomato - 6-7
Adrak - todha si
Kaju -10-12 piece
Makhane - 8-10 pieces
Cream -100g
Milk-toda sa
Salt
Jeera
Oil - 2-3 spoon
Dahi-1/2cup
Red chill
Haldi
Garam masala
Dhaniya powder
Hara dhaniya
Cream sajane k liye

VIDHI--

Oil aur kaju kishmis ko chodkar kofta ki sari samgri mila kar dough bana le fir uski chote - chote kofte bana kar unke bitch m kaju aur kishmish k tukde fill kar le fir unhe garam oil m fry kar

1 -Kaju ko dudh me kuch der dal kar rakh de.
2- mixer m tomato milk k sath kaju makhane dal kar paste bana le.
3-ab ek kadai m oil garam kare ab usme jeera chatkaye fir usme paste dal kar bhoon le.
4-jab wo tel chhodne lage tab usme laal mirch ,salt,dhaniya powder,haldi dalker kuch der chala le.
5- usme dahi, cream or thoda sa pani dal kar paka le fir usme kofte dal kar 2-3 minute paka le.
6-gas band kar de ab use cream aur  dhaniye se garnish kare..

No comments:

Post a Comment